Category
‘O’ Yaar Julahe!
39 POSTSmujhe bhi tarkib sikha koi yaar julahe
aksar tujhko dekha hai taana bunte
jab koi tana tut gaya ya khatam hua
koi aur sira phir jod ke usme
aage bunne lagte ho
tere us taane mein lekin
ek bhi gaanth girah bunkar ki
dekh nahi sakta hai koi
maine toh ek baar buna tha ek hi rishta
lekin uski saari girahe
saaf nazar aati hai mere yaar julahe
Gulzar